lagtaa nahin hai dil mera ujde dayaar me kiski bani hai aalam-e-naa paaydaar me
keh do in hasraton se kahin aur jaa base
itnii jagah kahaa hai dil-e-daag-daar me
umr-e-daraaz maang ke laaye the chaar din
do aarzuu me kat gaye, do intezaar me
kitnaa hai badnasiib zafar
dafan ke liyedo gaz zamiin bhii na milii kuu-e-yaar me.
tamannao ko zindaa, aarzuon ko javaan kar lun
yah sharmili nazar kah de to,kuchh gustaakhiyaan kar luun
bahaar aai hai bulbul dard-e-dil kehti hai pholon se
kaho to main bhi apna dard-e-dil tum se bayan kar lun
hazaaron shokh armaan le rahe hain chutkiyaan dil me
hayaa inki ijazat de to kuchh be-baakiyaan kar
koi surat to ho duniya-e-faani me bahalne ki
Thaher jaa aye jawaani maatam-e-umr-e-ravaan kar luun
chaman me hai baham parwaana-o-shama-o-gul-o-bulbul
ijaazat ho to main bhi haal-e-dil apnaa bayan kar lun
kise malum kab kis waqt kis par gir pade bijli
abhi se mai chaman me chal kar aabaad aashiyaan kar luun
mujhe donon jahaan me ek voh mil jaayen gar Akhtar
to apni hasraton ko be-nayaaz-e-do-jahaan kar lun.
talvaar si chaltii hai voh kaat hai saanson me
kin Khuni bagulon ki zad par hai magar meraa sinaa
kab chadhtaa huaa suraj dharti pe utar aaye
kab raah me ruk jaaye yah chalta hua jena
